duniya ki jafaen bhul gain taqdir ka shikwa bhul gae
duniyā kī jafā.eñ bhuul ga.iiñ taqdīr kā shikva bhuul ga.e
jab un se nigāheñ chaar huiiñ sab apnā-parāyā bhuul ga.e
ik mast-e-nazar ne saaqī kī rindoñ pe kuchh aisā sehr kiyā
fikr-e-mai-o-mīnā kyā kahiye zikr-e-mai-o-mīnā bhuul ga.e
ham aur kisī kī bazm-e-tarab ye raaz samajh meñ aa na sakā
ai ishq kahīñ aisā to nahīñ vo ham ko bhulānā bhuul ga.e
us jān-e-bahārāñ ne jab se muñh pher liyā hai gulshan se
shāḳhoñ ne lachaknā chhoḌ diyā ġhunche bhī chaTaknā bhuul ga.e
rahmat kā sabab thī pursish-e-ġham lekin ye tamāshā ḳhuub rahā
vo chheḌ ke sunñā bhuul ga.e ham kah ke sunānā bhuul ga.e
kulfat meñ maze āsā.ish ke phūloñ pe gumāñ angāroñ kā
nashshe meñ javānī ke goyā ham fitrat-e-duniyā bhuul ga.e
barbād-e-ġham aise aise bhī dekhe haiñ isī duniyā meñ kabhī
ham jin kī shikasta-hālī par do ashk bahānā bhuul ga.e
andāza-e-soz-e-ġham na kiyā ye bhuul huī ham se pahle
phir us pe qayāmat vo apne dāman ko bachānā bhuul ga.e
tūfān-e-mohabbat meñ ham ne paayā hai 'adīb' is tarah sukūñ
āñkhoñ se kinārā ojhal thā dil se bhī kinārā bhuul ga.e
duniya ki jafaen bhul gain taqdir ka shikwa bhul gae
jab un se nigahen chaar huin sab apna-paraya bhul gae
ek mast-e-nazar ne saqi ki rindon pe kuchh aisa sehr kiya
fikr-e-mai-o-mina kya kahiye zikr-e-mai-o-mina bhul gae
hum aur kisi ki bazm-e-tarab ye raaz samajh mein aa na saka
ai ishq kahin aisa to nahin wo hum ko bhulana bhul gae
us jaan-e-bahaaran ne jab se munh pher liya hai gulshan se
shaKHon ne lachakna chhoD diya ghunche bhi chaTakna bhul gae
rahmat ka sabab thi pursish-e-gham lekin ye tamasha KHub raha
wo chheD ke sunna bhul gae hum kah ke sunana bhul gae
kulfat mein maze aasaish ke phulon pe guman angaron ka
nashshe mein jawani ke goya hum fitrat-e-duniya bhul gae
barbaad-e-gham aise aise bhi dekhe hain isi duniya mein kabhi
hum jin ki shikasta-haali par do ashk bahana bhul gae
andaza-e-soz-e-gham na kiya ye bhul hui hum se pahle
phir us pe qayamat wo apne daman ko bachana bhul gae
tufan-e-mohabbat mein hum ne paya hai 'adib' is tarah sukun
aankhon se kinara ojhal tha dil se bhi kinara bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.