duniya ki lazzaton ke liye har jihad hai
duniyā kī lazzatoñ ke liye har jihād hai
qaul-o-‘amal meñ is liye itnā tazād hai
bātil-parast aadmī bātil-shikan huā
ye mo'jiza nahīñ hai mahaz ittihād hai
fard-e-qarār-dād-e-sitam sab ke naam thī
mā'sūmiyat ko sab ne kahā ḳhair-bād hai
ab aadmī ko chāhiye maz.hab nayā gaḌhe
ye diin kaam kā na koī irtidād hai
ye aadmī hai aadmī badlā nahīñ kabhī
‘iisā se qabl thā vahī ‘iisā ke baa'd hai
duniya ki lazzaton ke liye har jihad hai
qaul-o-‘amal mein is liye itna tazad hai
baatil-parast aadmi baatil-shikan hua
ye mo'jiza nahin hai mahaz ittihad hai
fard-e-qarar-dad-e-sitam sab ke nam thi
ma'sumiyat ko sab ne kaha KHair-baad hai
ab aadmi ko chahiye mazhab naya gaDhe
ye din kaam ka na koi irtidad hai
ye aadmi hai aadmi badla nahin kabhi
‘isa se qabl tha wahi ‘isa ke ba'd hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.