duniya ki masarrat apna le zid chhoD de mahw-e-KHwab na ho
duniya ki masarrat apna le zid chhoD de mahw-e-KHwab na ho
Ghamgeen Qureshi
MORE BYGhamgeen Qureshi
duniyā kī masarrat apnā le zid chhoḌ de mahv-e-ḳhvāb na ho
maiñ tere liye betāb sahī tū mere liye betāb na ho
is pyaas kī shiddat ne mujh ko maiḳhāne meñ azmat baḳhshī hai
allāh kare ye ruuh mirī tishna hī rahe sairāb na ho
dīdār se jab mahrūm rahā tab mujh ko ye mahsūs huā
phir dil se parastish kaun kare gar husn tirā nāyāb na ho
hai sab se ūñchā naam tirā qismat kā badalnā kaam terā
tū jis pe ināyat farmā.e vo zarra kyoñ mahtāb na ho
hañs kar na sahī aañsū pī kar ye umr to kaT hī jā.egī
par tujh ko log kaheñge kyā 'ġhamgīn' agar shādāb na ho
duniya ki masarrat apna le zid chhoD de mahw-e-KHwab na ho
main tere liye betab sahi tu mere liye betab na ho
is pyas ki shiddat ne mujh ko maiKHane mein azmat baKHshi hai
allah kare ye ruh meri tishna hi rahe sairab na ho
didar se jab mahrum raha tab mujh ko ye mahsus hua
phir dil se parastish kaun kare gar husn tera nayab na ho
hai sab se uncha nam tera qismat ka badalna kaam tera
tu jis pe inayat farmae wo zarra kyon mahtab na ho
hans kar na sahi aansu pi kar ye umr to kaT hi jaegi
par tujh ko log kahenge kya 'ghamgin' agar shadab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.