duniya ko ehtiram ka matlab nahin pata
duniyā ko ehtirām kā matlab nahīñ pata
ya.anī hamāre naam kā matlab nahīñ pata
muddat se chal rahā huuñ maiñ manzil kī chaah meñ
ab tak mujhe qiyām kā matlab nahīñ pata
kitnī bhī dhūm-dhām ho lagtā nahīñ hai jī
is dil ko dhūm-dhām kā matlab nahīñ pata
fatvā vo de rahā hai musalsal harām kā
jis shaḳhs ko harām kā matlab nahīñ pata
ye nafrateñ ye shor ye na.are ye qatl-e-ām
tum ko hamāre raam kā matlab nahīñ pata
kahte haiñ kyoñ udaas ho 'shāhid-karīm’ tum
jin ko udaas shaam kā matlab nahīñ pata
duniya ko ehtiram ka matlab nahin pata
yani hamare nam ka matlab nahin pata
muddat se chal raha hun main manzil ki chah mein
ab tak mujhe qiyam ka matlab nahin pata
kitni bhi dhum-dham ho lagta nahin hai ji
is dil ko dhum-dham ka matlab nahin pata
fatwa wo de raha hai musalsal haram ka
jis shaKHs ko haram ka matlab nahin pata
ye nafraten ye shor ye nare ye qatl-e-am
tum ko hamare ram ka matlab nahin pata
kahte hain kyon udas ho 'shahid-karim’ tum
jin ko udas sham ka matlab nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.