duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai
duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai
Mohammad Javed Ishaati
MORE BYMohammad Javed Ishaati
duniyā ko hai yaqīñ mirā vaqt-e-zavāl hai
roz-e-azal ke nuur tirā kyā ḳhayāl hai
kyā maiñ asīr-e-zulm-o-sitam roz-o-shab nahīñ
ai rabb-e-zul-jalāl tirā kyā ḳhayāl hai
sāhil pe lā ke jis ne safīne jalā diye
is nāḳhudā ke puḳhta yaqīñ kā kamāl hai
tujh se mire charāġh kī lo bujh na pā.egī
pāgal havā ke zor tirī kyā majāl hai
mausam kī saḳhtiyoñ se bachātī rahī mujhe
ai maañ tirā ḳhulūs samajhnā muhāl hai
milte nahīñ haiñ kyoñ tire bheje hue ḳhutūt
hotā nahīñ yaqīñ mire qāsid kī chaal hai
'jāved' bazm-e-sher-o-suḳhan meñ sunā.iye
vo ik ġhazal jo aap ke fan kā kamāl hai
duniya ko hai yaqin mera waqt-e-zawal hai
roz-e-azal ke nur tera kya KHayal hai
kya main asir-e-zulm-o-sitam roz-o-shab nahin
ai rabb-e-zul-jalal tera kya KHayal hai
sahil pe la ke jis ne safine jala diye
is naKHuda ke puKHta yaqin ka kamal hai
tujh se mere charagh ki lo bujh na paegi
pagal hawa ke zor teri kya majal hai
mausam ki saKHtiyon se bachati rahi mujhe
ai man tera KHulus samajhna muhaal hai
milte nahin hain kyon tere bheje hue KHutut
hota nahin yaqin mere qasid ki chaal hai
'jawed' bazm-e-sher-o-suKHan mein sunaiye
wo ek ghazal jo aap ke fan ka kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.