duniya ko jab pahchani to kanp gai
duniyā ko jab pahchānī to kaañp ga.ī
sar se jab guzrā paanī to kaañp ga.ī
paas rahā to qurbat kā ehsās na thā
us ne jaane kī Thānī to kaañp ga.ī
ghar se bāhar jāñ-levā sannāTā thā
dekhī shahr kī vīrānī to kaañp ga.ī
phūloñ ke malbūs meñ kaisā lagtā thā
dekhī peḌ kī uryānī to kaañp ga.ī
hijr kī shab ne 'jānāñ' kyā tahrīr kiyā
dekhī apnī peshānī to kaañp ga.ī
duniya ko jab pahchani to kanp gai
sar se jab guzra pani to kanp gai
pas raha to qurbat ka ehsas na tha
us ne jaane ki Thani to kanp gai
ghar se bahar jaan-lewa sannaTa tha
dekhi shahr ki virani to kanp gai
phulon ke malbus mein kaisa lagta tha
dekhi peD ki uryani to kanp gai
hijr ki shab ne 'jaanan' kya tahrir kiya
dekhi apni peshani to kanp gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.