duniya kuchh is tariqe se sadme mein aa gai
duniyā kuchh is tarīqe se sadme meñ aa ga.ī
jaise simaT ke ik sadī lamhe meñ aa ga.ī
koī gale bhī miltā na ho jab kisī se aaj
kuchh baat hai jo bhiiḌ janāze meñ aa ga.ī
ā.īne dekhne kā hunar jab se chhin gayā
patthar kī har sifat mire chehre meñ aa ga.ī
vo nasl kyā uThā.egī ab zindagī kā bojh
bachpan se hī jo sīdhe buḌhāpe meñ aa ga.ī
phūloñ sī ik zabān se rishta to hai magar
kitnī karaḳhtagī mire lahje meñ aa ga.ī
allah kā karam hī samajhiyegā āj-kal
koī sifat jo baap kī beTe meñ aa ga.ī
'shāhid' pe mehrbāñ jo huī hai kabhī ġhazal
dahlīz se uThī to darīche meñ aa ga.ī
duniya kuchh is tariqe se sadme mein aa gai
jaise simaT ke ek sadi lamhe mein aa gai
koi gale bhi milta na ho jab kisi se aaj
kuchh baat hai jo bhiD janaze mein aa gai
aaine dekhne ka hunar jab se chhin gaya
patthar ki har sifat mere chehre mein aa gai
wo nasl kya uThaegi ab zindagi ka bojh
bachpan se hi jo sidhe buDhape mein aa gai
phulon si ek zaban se rishta to hai magar
kitni karaKHtagi mere lahje mein aa gai
allah ka karam hi samajhiyega aaj-kal
koi sifat jo bap ki beTe mein aa gai
'shahid' pe mehrban jo hui hai kabhi ghazal
dahliz se uThi to dariche mein aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.