duniya mein be-hijab meri zat bhi to ho
duniya mein be-hijab meri zat bhi to ho
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
duniyā meñ be-hijāb mirī zaat bhī to ho
ai 'ishq terī koī karāmāt bhī to ho
kuchh zer-e-ġhaur sūrat-e-hālāt bhī to ho
sarkār ehtirām-e-rivāyāt bhī to ho
tārīkiyoñ kī ḳhatm kabhī raat bhī to ho
ai kirdgār sub.h-e-mukāfāt bhī to ho
tū jāntā hai phir bhī hai iqrār-e-ma.asiyat
sharminda-e-vajūd mirī zaat bhī to ho
ye kyā ki ahl-e-zohd haiñ aur bārgāh-e-nāz
mahfil meñ koī rind-e-ḳharābāt bhī to ho
mansūr ke fasāne kā kyā zikr bār-bār
ye 'āshiqī meñ koī na.ī baat bhī to ho
ab jalva-gāh dil ko banā le bajā-e-tūr
thoḌī bahut talāfī-e-māfāt bhī to ho
ye be-ruḳhī ye qahr ye tevar ye barhamī
rūdād-e-ġham meñ aisī koī baat bhī to ho
tū shaam hī se fikr-e-sahar meñ niDhāl hai
ai bad-nasīb pahle basar raat bhī to ho
fitrat ne de ke garmī-e-dil chaal ye chalī
insān kī anā ko kahīñ maat bhī to ho
rūdād-e-ġham jafā-e-falak dāstān-e-hijr
sab kuchh kaheñge un se mulāqāt bhī to ho
duniya mein be-hijab meri zat bhi to ho
ai 'ishq teri koi karamat bhi to ho
kuchh zer-e-ghaur surat-e-haalat bhi to ho
sarkar ehtiram-e-riwayat bhi to ho
tarikiyon ki KHatm kabhi raat bhi to ho
ai kirdgar subh-e-mukafat bhi to ho
tu jaanta hai phir bhi hai iqrar-e-masiyat
sharminda-e-wajud meri zat bhi to ho
ye kya ki ahl-e-zohd hain aur bargah-e-naz
mahfil mein koi rind-e-KHarabaat bhi to ho
mansur ke fasane ka kya zikr bar-bar
ye 'ashiqi mein koi nai baat bhi to ho
ab jalwa-gah dil ko bana le baja-e-tur
thoDi bahut talafi-e-mafat bhi to ho
ye be-ruKHi ye qahr ye tewar ye barhami
rudad-e-gham mein aisi koi baat bhi to ho
tu sham hi se fikr-e-sahar mein niDhaal hai
ai bad-nasib pahle basar raat bhi to ho
fitrat ne de ke garmi-e-dil chaal ye chali
insan ki ana ko kahin mat bhi to ho
rudad-e-gham jafa-e-falak dastan-e-hijr
sab kuchh kahenge un se mulaqat bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.