duniya mein gham raha na ba-zahir KHushi rahi
duniyā meñ ġham rahā na ba-zāhir ḳhushī rahī
jis vaqt tak jiye ḳhalish-e-zindagī rahī
jab tak mirī nazar meñ tajallī tirī rahī
ḳhud rahbar-e-ḳhirad mirī dīvāngī rahī
ham to sunā ke ġham kā fasāna chale ga.e
sunte haiñ der tak tire lab par hañsī rahī
aksar shab-e-firāq sitāroñ kī chhāñv meñ
yaad aap kī sharīk-e-ġham-e-bekasī rahī
aisā bhī ik maqām mohabbat meñ aa gayā
vo iztirāb-e-shauq na vo be-ḳhudī rahī
nazreñ milā ke tum se yahī sochtā rahā
iz.hār-e-dard dil meñ kahāñ tak kamī rahī
taskīn kā ḳhayāl bhī aatā nahīñ mujhe
achchhā huā na un kī navāzish kabhī rahī
un kī samajh meñ aa ga.iiñ majbūriyāñ mirī
is jabr-e-zindagī meñ bhī ik zindagī rahī
kaliyoñ ke bāñkpan meñ guloñ ke nikhār meñ
gulshan meñ har taraf tirī jalvagarī rahī
samjheñge ahl-e-dil ise tauhīn-e-bandagī
'sājid' rahīn-e-sajda agar bandagī rahī
duniya mein gham raha na ba-zahir KHushi rahi
jis waqt tak jiye KHalish-e-zindagi rahi
jab tak meri nazar mein tajalli teri rahi
KHud rahbar-e-KHirad meri diwangi rahi
hum to suna ke gham ka fasana chale gae
sunte hain der tak tere lab par hansi rahi
aksar shab-e-firaq sitaron ki chhanw mein
yaad aap ki sharik-e-gham-e-bekasi rahi
aisa bhi ek maqam mohabbat mein aa gaya
wo iztirab-e-shauq na wo be-KHudi rahi
nazren mila ke tum se yahi sochta raha
izhaar-e-dard dil mein kahan tak kami rahi
taskin ka KHayal bhi aata nahin mujhe
achchha hua na un ki nawazish kabhi rahi
un ki samajh mein aa gain majburiyan meri
is jabr-e-zindagi mein bhi ek zindagi rahi
kaliyon ke bankpan mein gulon ke nikhaar mein
gulshan mein har taraf teri jalwagari rahi
samjhenge ahl-e-dil ise tauhin-e-bandagi
'sajid' rahin-e-sajda agar bandagi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.