duniya mein ji raha hun magar ji uchaT gaya
duniyā meñ jī rahā huuñ magar jī uchaT gayā
sadiyoñ kā jo safar thā vo ik pal meñ kaT gayā
muddat ke baad mujh ko jagāyā zamīr ne
phir yuuñ huā ki zehn gunāhoñ se haT gayā
ghar kī mohabbatoñ kā vo aalam na pūchhiye
zanjīr sā ye kaun qadam se lipaT gayā
dariyā huuñ ek maiñ mirā apnā vajūd hai
qatra mujhe samajh ke samundar palaT gayā
āḳhir ko dil kā bojh utar hī gayā 'hakīm'
lafzoñ meñ merā dard ba-ḳhūbī simaT gayā
duniya mein ji raha hun magar ji uchaT gaya
sadiyon ka jo safar tha wo ek pal mein kaT gaya
muddat ke baad mujh ko jagaya zamir ne
phir yun hua ki zehn gunahon se haT gaya
ghar ki mohabbaton ka wo aalam na puchhiye
zanjir sa ye kaun qadam se lipaT gaya
dariya hun ek main mera apna wajud hai
qatra mujhe samajh ke samundar palaT gaya
aaKHir ko dil ka bojh utar hi gaya 'hakim'
lafzon mein mera dard ba-KHubi simaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.