duniya mein kis ko humse adawat nahin hui
duniyā meñ kis ko ham se adāvat nahīñ huī
lekin hameñ kisī se shikāyat nahīñ huī
hamdardiyāñ zamāne kī hāsil na kar sake
ham se tumhāre ġham kī tijārat nahīñ huī
dil sā nagīn vaar deñ husn-e-majāz par
sad-shukr ham se aisī himāqat nahīñ huī
ham ne adū kī teġh bhī rakkhī sañbhāl kar
ham se kisī kī shai meñ ḳhayānat nahīñ huī
sach hai ki zindagī ko sazā jānte the ham
jab tak kisī ko ham se mohabbat nahīñ huī
ham sarkashī kī saarī hadeñ paar kar ga.e
ham ko kisī ḳhatā pe nadāmat nahīñ huī
'kāshif' faqat fareb hai apnā fan-e-suḳhan
haq-goī kī agar hameñ jur.at nahīñ huī
duniya mein kis ko hum se adawat nahin hui
lekin hamein kisi se shikayat nahin hui
hamdardiyan zamane ki hasil na kar sake
hum se tumhaare gham ki tijarat nahin hui
dil sa nagin war den husn-e-majaz par
sad-shukr hum se aisi himaqat nahin hui
hum ne adu ki tegh bhi rakkhi sanbhaal kar
hum se kisi ki shai mein KHayanat nahin hui
sach hai ki zindagi ko saza jaante the hum
jab tak kisi ko hum se mohabbat nahin hui
hum sarkashi ki sari haden par kar gae
hum ko kisi KHata pe nadamat nahin hui
'kashif' faqat fareb hai apna fan-e-suKHan
haq-goi ki agar hamein jurat nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.