duniya mein nam ko bhi mohabbat nahin rahi
duniyā meñ naam ko bhī mohabbat nahīñ rahī
insān kī vo pahlī sī fitrat nahīñ rahī
be-hurmatī-e-hazrat-e-ādam ko dekh kar
apne to dil meñ hasrat-e-jannat nahīñ rahī
hāsil use maqām farishtoñ kā thā kabhī
sad-haif aadmī kī vo azmat nahīñ rahī
ātash-bajāñ hai barq-e-tapāñ kis ke vāste
ham āshiyāñ banā.eñ ye hasrat nahīñ rahī
apnoñ kā lutf jaur-e-musalsal se kam nahīñ
ġhairoñ se ham ko koī shikāyat nahīñ rahī
'sābir' kisī kī yaad meñ ḳhud ko bhulā sakeñ
kār-e-jahāñ se itnī bhī fursat nahīñ rahī
duniya mein nam ko bhi mohabbat nahin rahi
insan ki wo pahli si fitrat nahin rahi
be-hurmati-e-hazrat-e-adam ko dekh kar
apne to dil mein hasrat-e-jannat nahin rahi
hasil use maqam farishton ka tha kabhi
sad-haif aadmi ki wo azmat nahin rahi
aatash-bajaan hai barq-e-tapan kis ke waste
hum aashiyan banaen ye hasrat nahin rahi
apnon ka lutf jaur-e-musalsal se kam nahin
ghairon se hum ko koi shikayat nahin rahi
'sabir' kisi ki yaad mein KHud ko bhula saken
kar-e-jahan se itni bhi fursat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.