duniya mein rah ke duniya se haT kar zara chale
duniyā meñ rah ke duniyā se haT kar zarā chale
ham apnī ḳhvāhishāt ko dil meñ dabā chale
terī mohabbatoñ kā sadā silsila chale
dil ke chaman meñ tere karam kī havā chale
mere charāġh hāthoñ ko khole hue haiñ ab
kah de koī havā se ki bach kar zarā chale
kuchh aise log bhī haiñ zamāne meñ dosto
sūraj kī jo talāsh meñ le kar diyā chale
rahtā thā mere gaañv meñ dīvāna ik kabhī
jaane kahāñ gayā hai ye kuchh to pata chale
kyā gardisheñ satā.eñgī mujh ko bhalā 'nisār'
maiñ jab chalūñ to saath meñ maañ kī duā chale
duniya mein rah ke duniya se haT kar zara chale
hum apni KHwahishat ko dil mein daba chale
teri mohabbaton ka sada silsila chale
dil ke chaman mein tere karam ki hawa chale
mere charagh hathon ko khole hue hain ab
kah de koi hawa se ki bach kar zara chale
kuchh aise log bhi hain zamane mein dosto
suraj ki jo talash mein le kar diya chale
rahta tha mere ganw mein diwana ek kabhi
jaane kahan gaya hai ye kuchh to pata chale
kya gardishen sataengi mujh ko bhala 'nisar'
main jab chalun to sath mein man ki dua chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.