duniya mein rang-o-nur ki koi kami na thi
duniya mein rang-o-nur ki koi kami na thi
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
duniyā meñ rang-o-nūr kī koī kamī na thī
bas ek shahr-e-dil thā jahāñ raushnī na thī
kyā kah ga.e the tum ye tumheñ hosh bhī na thā
chup rah ga.e the ham to koī baat hī na thī
bichhḌe the bhiiḌ meñ vo hamesha ke ham-safar
phir kuchh ḳhabar kisī kī kisī ko milī na thī
kis ne ye shahr-e-amn meñ neze sajā diye
pahle to yuuñ saroñ kī numā.ish lagī na thī
har daur ahl-e-daur ke chehroñ kā aa.ina
jab ham bure na the to ye duniyā burī na thī
bas aa gayā thā kuuch kā hangām-e-nā-gahāñ
mujh ko to sochne kī bhī mohlat milī na thī
pahle bhī yuuñ jale the 'sharar' apne āshiyāñ
sayyād ke makān pe bijlī girī na thī
duniya mein rang-o-nur ki koi kami na thi
bas ek shahr-e-dil tha jahan raushni na thi
kya kah gae the tum ye tumhein hosh bhi na tha
chup rah gae the hum to koi baat hi na thi
bichhDe the bhiD mein wo hamesha ke ham-safar
phir kuchh KHabar kisi ki kisi ko mili na thi
kis ne ye shahr-e-amn mein neze saja diye
pahle to yun saron ki numaish lagi na thi
har daur ahl-e-daur ke chehron ka aaina
jab hum bure na the to ye duniya buri na thi
bas aa gaya tha kuch ka hangam-e-na-gahan
mujh ko to sochne ki bhi mohlat mili na thi
pahle bhi yun jale the 'sharar' apne aashiyan
sayyaad ke makan pe bijli giri na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.