duniya mein raushni ki qayaadat ko likh chalen
duniyā meñ raushnī kī qayādat ko likh chaleñ
lāzim hai zulmatoñ kī baġhāvat ko likh chaleñ
har samt hoñ jahāñ meñ ye ulfat ke silsile
nafrat kī rah-guzar pe mohabbat ko likh chaleñ
raushan hai jin ke dam se abhī hind kā chaman
ashkoñ se aaj un kī shahādat ko likh chaleñ
ab to miTāo yaaro 'adāvat kī talḳhiyāñ
vahshat kī āñdhiy.oñ meñ rifāqat ko likh chaleñ
nafrat meñ phir jale na koī amn kī sahar
lāzim hai laakh aisī rivāyat ko likh chaleñ
'ābid' basā.eñ har-sū sabhī pyaar kā jahāñ
duniyā meñ aao aisī hikāyat ko likh chaleñ
duniya mein raushni ki qayaadat ko likh chalen
lazim hai zulmaton ki baghawat ko likh chalen
har samt hon jahan mein ye ulfat ke silsile
nafrat ki rah-guzar pe mohabbat ko likh chalen
raushan hai jin ke dam se abhi hind ka chaman
ashkon se aaj un ki shahadat ko likh chalen
ab to miTao yaro 'adawat ki talKHiyan
wahshat ki aandhiyon mein rifaqat ko likh chalen
nafrat mein phir jale na koi amn ki sahar
lazim hai lakh aisi riwayat ko likh chalen
'abid' basaen har-su sabhi pyar ka jahan
duniya mein aao aisi hikayat ko likh chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.