duniya ne hamari kya aashufta-sari dekhi
duniyā ne hamārī kyā āshufta-sarī dekhī
har sang se Takrāte kyā dar-badarī dekhī
kuchh josh-e-junūñ kam ho kuchh dard kā darmāñ ho
is naḳhl-e-tamannā kī kab shāḳh harī dekhī
kahte haiñ ki aaya hai ab daur masāvātī
kamzor kī duniyā ne kyā tāj-varī dekhī
har falsafa-e-kohna Thukrā diyā logoñ ne
jab ahl-e-tasarruf kī bedād-garī dekhī
ab aao ki mil baiTheñ kuchh taur na.e socheñ
farsūda ḳhayāloñ kī daryūza-garī dekhī
kyā zabt kā yaarā hai 'rizvāñ' ko ma.āz-allāh
kyā naala sunā koī āñkhoñ meñ namī dekhī
duniya ne hamari kya aashufta-sari dekhi
har sang se Takraate kya dar-badari dekhi
kuchh josh-e-junun kam ho kuchh dard ka darman ho
is naKHl-e-tamanna ki kab shaKH hari dekhi
kahte hain ki aaya hai ab daur masawati
kamzor ki duniya ne kya taj-wari dekhi
har falsafa-e-kohna Thukra diya logon ne
jab ahl-e-tasarruf ki bedad-gari dekhi
ab aao ki mil baiThen kuchh taur nae sochen
farsuda KHayalon ki daryuza-gari dekhi
kya zabt ka yara hai 'rizwan' ko maaz-allah
kya nala suna koi aankhon mein nami dekhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.