duniya ne yahi mujhko har bar bataya hai
duniyā ne yahī mujh ko har baar batāyā hai
koī bhī nahīñ apnā har shaḳhs parāyā hai
ye vaqt mujhe aksar letā hai nishāne par
maiñ ne bhī ise apnā andāz dikhāyā hai
āñdhī ne girā.e haiñ kuchh peḌ baḌe lekin
mushkil meñ khaḌe rahnā ye paaTh paḌhāyā hai
ik raah judā hotī ik raah nazar aatī
manzil kā pata us ne kuchh yuuñ bhī batāyā hai
karnā hai baḌā ḳhud ko to soch baḌī rakhnā
gamle meñ bhalā kis ne bargad ko ugāyā hai
jo aañkh kī had meñ thā dekhā hai vahī pahle
phir dil kī nigāhoñ ne kuchh aur dikhāyā hai
duniya ne yahi mujh ko har bar bataya hai
koi bhi nahin apna har shaKHs paraya hai
ye waqt mujhe aksar leta hai nishane par
main ne bhi ise apna andaz dikhaya hai
aandhi ne girae hain kuchh peD baDe lekin
mushkil mein khaDe rahna ye paTh paDhaya hai
ek rah juda hoti ek rah nazar aati
manzil ka pata us ne kuchh yun bhi bataya hai
karna hai baDa KHud ko to soch baDi rakhna
gamle mein bhala kis ne bargad ko ugaya hai
jo aankh ki had mein tha dekha hai wahi pahle
phir dil ki nigahon ne kuchh aur dikhaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.