duniya sabhi baatil ki talabgar lage hai
duniyā sabhī bātil kī talabgār lage hai
jis ruuh ko dekho vahī bīmār lage hai
jab bhuuk se mar jaatā hai dorāhe pe koī
bastī kā har ik shaḳhs gunahgār lage hai
shāyad na.ī tahzīb kī me.arāj yahī hai
haq-go hī zamāne meñ ḳhatā-kār lage hai
vo terī vafā kī ho ki duniyā kī jafā kī
mat chheḌ koī baat ki talvār lage hai
kyā zarf hai har zulm pe ḳhāmosh hai duniyā
is daur kā insān pur-asrār lage hai
jis ne kabhī dariyā kā talātum nahīñ dekhā
sāhil bhī use duur se mañjhdār lage hai
duniya sabhi baatil ki talabgar lage hai
jis ruh ko dekho wahi bimar lage hai
jab bhuk se mar jata hai dorahe pe koi
basti ka har ek shaKHs gunahgar lage hai
shayad nai tahzib ki mearaj yahi hai
haq-go hi zamane mein KHata-kar lage hai
wo teri wafa ki ho ki duniya ki jafa ki
mat chheD koi baat ki talwar lage hai
kya zarf hai har zulm pe KHamosh hai duniya
is daur ka insan pur-asrar lage hai
jis ne kabhi dariya ka talatum nahin dekha
sahil bhi use dur se manjhdar lage hai
- Book : Salsabeel (Pg. 29)
- Author : Ahmed Shahid Khan
- Publication : Ahmed Shahid Khan, Dep. Electronics Enginering (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.