duniya se be-niyaz ghazal kah raha hun main
duniya se be-niyaz ghazal kah raha hun main
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
duniyā se be-niyāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
qalb-o-jigar navāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
ai dil zarā Thahar ki haiñ sehn-e-chaman meñ vo
mahv-e-ḳhirām-e-nāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
chhalke tire jamāl kī rañgīniyāñ kuchh aur
ik aisī dil-navāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
kartā huuñ be-naqāb ruḳh-e-raushan-e-hayāt
parda-kushā-e-rāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
mastī meñ taaki guzre merī shām-e-zindagī
ai mere kārsāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
in nāzuk uñgliyoñ se zarā muskurā ke chheḌ
dhīme se koī saaz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
sāġhar-ba-dast aayā hai saaqī bahār meñ
bas ho chukī namāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
us tīr-e-nīm-kash kā mazā ho mujhe atā
ai chashm-e-nīm-bāz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
tanhā.iyoñ meñ raat kī yād-e-'habīb' ne
chheḌā hai dil kā saaz ġhazal kah rahā huuñ maiñ
duniya se be-niyaz ghazal kah raha hun main
qalb-o-jigar nawaz ghazal kah raha hun main
ai dil zara Thahar ki hain sehn-e-chaman mein wo
mahw-e-KHiram-e-naz ghazal kah raha hun main
chhalke tere jamal ki ranginiyan kuchh aur
ek aisi dil-nawaz ghazal kah raha hun main
karta hun be-naqab ruKH-e-raushan-e-hayat
parda-kusha-e-raaz ghazal kah raha hun main
masti mein taki guzre meri sham-e-zindagi
ai mere karsaz ghazal kah raha hun main
in nazuk ungliyon se zara muskura ke chheD
dhime se koi saz ghazal kah raha hun main
saghar-ba-dast aaya hai saqi bahaar mein
bas ho chuki namaz ghazal kah raha hun main
us tir-e-nim-kash ka maza ho mujhe ata
ai chashm-e-nim-baz ghazal kah raha hun main
tanhaiyon mein raat ki yaad-e-'habib' ne
chheDa hai dil ka saz ghazal kah raha hun main
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 25)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.