duniya se, jis se aage ka socha nahin gaya
duniyā se, jis se aage kā sochā nahīñ gayā
ham se vahāñ pahuñch ke bhī Thahrā nahīñ gayā
āñkhoñ pe aisā vaqt bhī guzrā hai bār-hā
vo dekhnā paḌā hai jo dekhā nahīñ gayā
paḌhvānā chāhte the nujūmī se ham vahī
ham se qadam zamīn pe rakkhā nahīñ gayā
naqshe meñ aaj DhūñDne baiThā huuñ vo zamīñ
jis ko hazār TukḌoñ meñ bāñTā nahīñ gayā
ab kyā kaheñ nujūmī ke baare meñ chhoḌiye
apnā to ye baras bhī kuchh achchhā nahīñ gayā
duniya se, jis se aage ka socha nahin gaya
hum se wahan pahunch ke bhi Thahra nahin gaya
aankhon pe aisa waqt bhi guzra hai bar-ha
wo dekhna paDa hai jo dekha nahin gaya
paDhwana chahte the nujumi se hum wahi
hum se qadam zamin pe rakkha nahin gaya
naqshe mein aaj DhunDne baiTha hun wo zamin
jis ko hazar TukDon mein banTa nahin gaya
ab kya kahen nujumi ke bare mein chhoDiye
apna to ye baras bhi kuchh achchha nahin gaya
- Book : Vajood (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.