duniya se kabhi hum ko nibhana nahin aaya
duniya se kabhi hum ko nibhana nahin aaya
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
duniyā se kabhī ham ko nibhānā nahīñ aayā
phir ham se nibhāne ko zamāna nahīñ aayā
ḳhud se kiyā vā'da bhī nibhānā nahīñ aayā
aanā hī na thā ham ko na aanā nahīñ aayā
kyoñ rakhte ho ummīd manā leñge tumheñ ham
ham se to kabhī ḳhud ko manānā nahīñ aayā
sunte haiñ ki har shaḳhs ko miltī hai mohabbat
hisse meñ hamāre ye ḳhazāna nahīñ aayā
vo daur bhī guzrā hai jahāñ ruk sī ga.ī thī
phir ḳhud se hī milne kā zamāna nahīñ aayā
un ko ye batānā thā hameñ pyaar nahīñ hai
milne pe vahī ham ko batānā nahīñ aayā
bāzār sī raunaq to banā lī thī pa un ko
ghar pyaar mohabbat se sajānā nahīñ aayā
duniya se kabhi hum ko nibhana nahin aaya
phir hum se nibhane ko zamana nahin aaya
KHud se kiya wa'da bhi nibhana nahin aaya
aana hi na tha hum ko na aana nahin aaya
kyon rakhte ho ummid mana lenge tumhein hum
hum se to kabhi KHud ko manana nahin aaya
sunte hain ki har shaKHs ko milti hai mohabbat
hisse mein hamare ye KHazana nahin aaya
wo daur bhi guzra hai jahan ruk si gai thi
phir KHud se hi milne ka zamana nahin aaya
un ko ye batana tha hamein pyar nahin hai
milne pe wahi hum ko batana nahin aaya
bazar si raunaq to bana li thi pa un ko
ghar pyar mohabbat se sajaana nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.