duniya se kaun jata hai apni KHushi ke sath
duniyā se kaun jaatā hai apnī ḳhushī ke saath
vābasta ho agar na azal zindagī ke saath
bas itnī rasm-o-rāh hai is zindagī ke saath
ik ajnabī safar meñ milā ajnabī ke saath
yuuñ dushmanī bhī chaltī hai ab dostī ke saath
jaise añdherā rahtā hai har raushnī ke saath
mil jaa.e mujh ko ḳhaak jo qadmoñ kī aap ke
dil kyā hai maiñ to jaan bhī de duuñ ḳhushī ke saath
kyā tujh ko ḳhauf hashr meñ purshish kā 'intizār'
terā to hashr hogā muhibb-e-'alī' ke saath
duniya se kaun jata hai apni KHushi ke sath
wabasta ho agar na azal zindagi ke sath
bas itni rasm-o-rah hai is zindagi ke sath
ek ajnabi safar mein mila ajnabi ke sath
yun dushmani bhi chalti hai ab dosti ke sath
jaise andhera rahta hai har raushni ke sath
mil jae mujh ko KHak jo qadmon ki aap ke
dil kya hai main to jaan bhi de dun KHushi ke sath
kya tujh ko KHauf hashr mein purshish ka 'intizar'
tera to hashr hoga muhibb-e-'ali' ke sath
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 67)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.