duniya se nirale hain ye andaz haya ke
duniyā se nirāle haiñ ye andāz hayā ke
vo mujh ko chhupāte haiñ tasavvur meñ bhī aa ke
rah jā.eñge duniyā meñ bahut tazkire baaqī
kuchh merī vafā kuchh mire qātil kī jafā ke
gumrāh rah-e-'ishq meñ ghabrā.e haiñ aise
lete haiñ qadam dauḌ ke har rāh-numā ke
sar ko jo girāyā bhī to us but ke qadam par
ehsān mire sar pe mirī laġhzish-e-pā ke
'rāfat' hameñ firdaus meñ jāgīr milegī
maddāh azal se haiñ shah-e-arz-o-samā ke
duniya se nirale hain ye andaz haya ke
wo mujh ko chhupate hain tasawwur mein bhi aa ke
rah jaenge duniya mein bahut tazkire baqi
kuchh meri wafa kuchh mere qatil ki jafa ke
gumrah rah-e-'ishq mein ghabrae hain aise
lete hain qadam dauD ke har rah-numa ke
sar ko jo giraya bhi to us but ke qadam par
ehsan mere sar pe meri laghzish-e-pa ke
'rafat' hamein firdaus mein jagir milegi
maddah azal se hain shah-e-arz-o-sama ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.