duniya se pare jism ke is bab mein aae
duniyā se pare jism ke is baab meñ aa.e
ham ḳhud se judā ho ke tire ḳhvāb meñ aa.e
kuchh aise bhī hamvār kī har sat.h ko apnī
maujoñ kī tarah ham tire pāyāb meñ aa.e
un ko bhī abad ke kisī sāhil pe utāro
vo lams jo is raat ke sailāb meñ aa.e
ik naqsh to Thahrā thā ravānī ke badan par
jab ban ke bhañvar ham tire girdāb meñ aa.e
bikhrāo ke shahpar pe ham utre pe zamīñ par
kuchh phail ke is nuqta-e-nāyāb meñ aa.e
the ġhaib ke teshe se tarāshe hue ham tab
añgḌā.ī kī sūrat tirī mehrāb meñ aa.e
duniya se pare jism ke is bab mein aae
hum KHud se juda ho ke tere KHwab mein aae
kuchh aise bhi hamwar ki har sath ko apni
maujon ki tarah hum tere payab mein aae
un ko bhi abad ke kisi sahil pe utaro
wo lams jo is raat ke sailab mein aae
ek naqsh to Thahra tha rawani ke badan par
jab ban ke bhanwar hum tere girdab mein aae
bikhrao ke shahpar pe hum utre pe zamin par
kuchh phail ke is nuqta-e-nayab mein aae
the ghaib ke teshe se tarashe hue hum tab
angDai ki surat teri mehrab mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.