duniya se sadgi ka chalan kaun le gaya
duniyā se sādgī kā chalan kaun le gayā
hairat to hai ḳhulūs-e-suḳhan kaun le gayā
yārān-e-ḳhush-adā se zarā pūchhte chaleñ
mausam kā rang husn-e-chaman kaun le gayā
vo jis kī raushnī meñ thā maazī kā nuur bhī
ai dost vo charāġh-e-kuhan kaun le gayā
ādāb-o-guftugū meñ matānat vahī rahī
sher-o-adab se nudrat-e-fan kaun le gayā
shabnam kī hī ḳhatā na havāoñ kā hai qusūr
phūloñ ke pairahan se shikan kaun le gayā
halkā sā thā na abr kā saaya koī vahāñ
sūraj ke bhī nagar se kiran kaun le gayā
kahiye to mujh ko tez-ravī kis ne baḳhsh dī
'anvar' mire safar kī thakan kaun le gayā
duniya se sadgi ka chalan kaun le gaya
hairat to hai KHulus-e-suKHan kaun le gaya
yaran-e-KHush-ada se zara puchhte chalen
mausam ka rang husn-e-chaman kaun le gaya
wo jis ki raushni mein tha mazi ka nur bhi
ai dost wo charagh-e-kuhan kaun le gaya
aadab-o-guftugu mein matanat wahi rahi
sher-o-adab se nudrat-e-fan kaun le gaya
shabnam ki hi KHata na hawaon ka hai qusur
phulon ke pairahan se shikan kaun le gaya
halka sa tha na abr ka saya koi wahan
suraj ke bhi nagar se kiran kaun le gaya
kahiye to mujh ko tez-rawi kis ne baKHsh di
'anwar' mere safar ki thakan kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.