duniya se talluq to nibhana hi paDega
duniyā se ta.alluq to nibhānā hī paḌegā
ham kyā haiñ zamāne ko batānā hī paḌegā
ye log samajhte haiñ kahāñ ramz-o-kināya
uslūb nayā koī banānā hī paḌegā
kuchh der mirī aañkh meñ tū jaag rahā hai
kuchh der sitāroñ ko jagānā hī paḌegā
pheñkā thā jise ham ne kabhī khoTā samajh kar
lagtā hai vo sikka bhī chalānā hī paḌegā
ma.alūm to ho kaun hai ab merā vafādār
ik raat charāġhoñ ko bujhānā hī paḌegā
jis aañkh meñ har-vaqt chamakte haiñ sitāre
us aañkh se ik ḳhvāb churānā hī paḌegā
duniya se talluq to nibhana hi paDega
hum kya hain zamane ko batana hi paDega
ye log samajhte hain kahan ramz-o-kinaya
uslub naya koi banana hi paDega
kuchh der meri aankh mein tu jag raha hai
kuchh der sitaron ko jagana hi paDega
phenka tha jise hum ne kabhi khoTa samajh kar
lagta hai wo sikka bhi chalana hi paDega
malum to ho kaun hai ab mera wafadar
ek raat charaghon ko bujhana hi paDega
jis aankh mein har-waqt chamakte hain sitare
us aankh se ek KHwab churana hi paDega
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 76)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.