duniya se ulajhna hi muqaddar mein likha kyon
duniyā se ulajhnā hī muqaddar meñ likhā kyoñ
khultā nahīñ mujh par jo huā hai vo huā kyoñ
is shahr meñ patthar kī sadā.eñ haiñ kahāñ tak
huuñ soch kī dahlīz pe sar rakh ke paḌā kyoñ
har samt sulagte hue manzar haiñ abhī tak
tahzīb kā manzar mirī āñkhoñ meñ rahā kyoñ
har sub.h dhuāñ hotā huā dekhā hai ḳhud ko
phir bhī maiñ diyā ban ke sar-e-shām jalā kyoñ
har lamha mire ḳhvāb ko ta.amīr kiyā to
har lamha use vaqt ne mismār kiyā kyoñ
duniya se ulajhna hi muqaddar mein likha kyon
khulta nahin mujh par jo hua hai wo hua kyon
is shahr mein patthar ki sadaen hain kahan tak
hun soch ki dahliz pe sar rakh ke paDa kyon
har samt sulagte hue manzar hain abhi tak
tahzib ka manzar meri aankhon mein raha kyon
har subh dhuan hota hua dekha hai KHud ko
phir bhi main diya ban ke sar-e-sham jala kyon
har lamha mere KHwab ko tamir kiya to
har lamha use waqt ne mismar kiya kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.