duniya tanz kare to aah-o-zari kya
duniyā tanz kare to āh-o-zārī kyā
ham donoñ ko milne meñ dushvārī kyā
shādābī chehroñ par hotī hai tahrīr
zinda diloñ par chhātī hai be-zārī kyā
firqa-vārī amn shahr kā chhīnegī
aag na jo bhaḌkā.e vo chiñgārī kyā
āñkheñ phoḌeñ yā phir jaan hī de deñ ham
himmat TuuTī ishq kī baazī haarī kiyā
shahr meñ jaao rizq milegā koshish se
ghar meñ baiThe miTtī hai bekārī kyā
vaqt burā ho to tadbīreñ lā-hāsil
kaam aa.egī aise meñ hushyārī kyā
ham jaisoñ se bin matlab kab milte haiñ
dhan vāloñ se nibhtī bhī hai yaarī kyā
duniya tanz kare to aah-o-zari kya
hum donon ko milne mein dushwari kya
shadabi chehron par hoti hai tahrir
zinda dilon par chhati hai be-zari kya
firqa-wari amn shahr ka chhinegi
aag na jo bhaDkae wo chingari kya
aankhen phoDen ya phir jaan hi de den hum
himmat TuTi ishq ki bazi haari kiya
shahr mein jao rizq milega koshish se
ghar mein baiThe miTti hai bekari kya
waqt bura ho to tadbiren la-hasil
kaam aaegi aise mein hushyari kya
hum jaison se bin matlab kab milte hain
dhan walon se nibhti bhi hai yari kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.