duniya tere matlab ki hai tu duniya ke matlab ka
duniyā tere matlab kī hai tū duniyā ke matlab kā
aur donoñ ke paas nahīñ hai kuchh bhī mere matlab kā
aslī baat pe kyā phal aatā hāhā-kār ke mausam meñ
sab ne baaġh lagā rakkhā hai apne apne matlab kā
apnī hī āvāz pe laTTū ho kar ibn-e-ādam ne
kaisā kaisā lafz banāyā kaise kaise matlab kā
rishtoñ kī ta.amīr meñ koī dar to rakhnā paḌtā hai
chhoTī chhoTī ummīdoñ kā halke-phulke matlab kā
baat barā.e baat kā ḳhālis lutf uThā.eñ aaj zarā
thoḌī der bhulā do jhagḌā ulTe-sīdhe matlab kā
donoñ par be-laus mohabbat kī ik chhatrī kaafī thī
tum ne sar par kyā taanā hai dohre tihre matlab kā
mere dil ko giit banā kar gaao lekin yaad rahe
is par koī harf na aa.e aise vaise matlab kā
chhoTā sā ik jumla sun kar din achchhā ho jaatā hai
lekin tere lab se nikle aur ho achchhe matlab kā
ek añgūThī ghaḌ lo biibī roz sadā.eñ detā hai
duur kahīñ ik siipī andar motī gahre matlab kā
duniya tere matlab ki hai tu duniya ke matlab ka
aur donon ke pas nahin hai kuchh bhi mere matlab ka
asli baat pe kya phal aata haha-kar ke mausam mein
sab ne bagh laga rakkha hai apne apne matlab ka
apni hi aawaz pe laTTu ho kar ibn-e-adam ne
kaisa kaisa lafz banaya kaise kaise matlab ka
rishton ki tamir mein koi dar to rakhna paDta hai
chhoTi chhoTi ummidon ka halke-phulke matlab ka
baat barae baat ka KHalis lutf uThaen aaj zara
thoDi der bhula do jhagDa ulTe-sidhe matlab ka
donon par be-laus mohabbat ki ek chhatri kafi thi
tum ne sar par kya tana hai dohre tihre matlab ka
mere dil ko git bana kar gao lekin yaad rahe
is par koi harf na aae aise waise matlab ka
chhoTa sa ek jumla sun kar din achchha ho jata hai
lekin tere lab se nikle aur ho achchhe matlab ka
ek anguThi ghaD lo bibi roz sadaen deta hai
dur kahin ek sipi andar moti gahre matlab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.