duniya to Khaar-zar hai daman bacha ke chal
duniyā to ḳhār-zār hai dāman bachā ke chal
ye tujh ko iḳhtiyār hai dāman bachā ke chal
daur-e-ḳhizāñ meñ kyā jo tirā dil churā sake
gumrāh-kun bahār hai dāman bachā ke chal
mat bhuul dil-fareb siyah gesuoñ kā bal
ik āstīñ kā maar hai dāman bachā ke chal
us ko bhī tujh se pyaar hai ye aazmā ke dekh
tū jis pe yuuñ nisār hai dāman bachā ke chal
raftār-e-vaqt se na qadam jo milā sakā
aksar vo ashk-bār hai dāman bachā ke chal
saudāgarī diloñ kī to sab se baḌā gunah
dil ek shāhkār hai dāman bachā ke chal
'anvar' na ishq chaal jo har roz chal sako
hotā ye ek baar hai dāman bachā ke chal
duniya to KHar-zar hai daman bacha ke chal
ye tujh ko iKHtiyar hai daman bacha ke chal
daur-e-KHizan mein kya jo tera dil chura sake
gumrah-kun bahaar hai daman bacha ke chal
mat bhul dil-fareb siyah gesuon ka bal
ek aastin ka mar hai daman bacha ke chal
us ko bhi tujh se pyar hai ye aazma ke dekh
tu jis pe yun nisar hai daman bacha ke chal
raftar-e-waqt se na qadam jo mila saka
aksar wo ashk-bar hai daman bacha ke chal
saudagari dilon ki to sab se baDa gunah
dil ek shahkar hai daman bacha ke chal
'anwar' na ishq chaal jo har roz chal sako
hota ye ek bar hai daman bacha ke chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.