duniya to ye kahti hai qatil hain teri aankhen
duniya to ye kahti hai qatil hain teri aankhen
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
duniyā to ye kahtī hai qātil haiñ tirī āñkheñ
maiñ kahtā huuñ hastī kā hāsil haiñ tirī āñkheñ
in se bhī mohabbat ke paiġhām hameñ pahuñche
paiġhām-rasānoñ meñ shāmil haiñ tirī āñkheñ
ehsās se jis ke ham gardan na uThā paa.e
us lutf-e-farāvāñ kī hāmil haiñ tirī āñkheñ
āñkheñ haiñ tirī saaqī sāġhar mai-e-irfāñ ke
hoñToñ se lagāne ke qābil haiñ tirī āñkheñ
bhāloñ se murassa' haiñ ārāsta tīroñ se
har dil se ulajhne par maa.il haiñ tirī āñkheñ
nazroñ meñ tirī aa kar āñkhoñ meñ samā jā.ūñ
rāheñ haiñ tirī nazreñ manzil haiñ tirī āñkheñ
duniyā-e-tamannā kā nāpaid kināra hai
is bahr-e-farāvāñ meñ sāhil haiñ tirī āñkheñ
maano to ḳhatā bhī hai be-parda tujhe dekhā
varna to in āñkhoñ meñ shāmil haiñ tirī āñkheñ
ai dost in āñkhoñ meñ duniyā bhī hai 'uqbā bhī
achchhā hai 'shifā' par bhī maa.il haiñ tirī āñkheñ
duniya to ye kahti hai qatil hain teri aankhen
main kahta hun hasti ka hasil hain teri aankhen
in se bhi mohabbat ke paigham hamein pahunche
paigham-rasanon mein shamil hain teri aankhen
ehsas se jis ke hum gardan na uTha pae
us lutf-e-farawan ki hamil hain teri aankhen
aankhen hain teri saqi saghar mai-e-irfan ke
honTon se lagane ke qabil hain teri aankhen
bhaalon se murassa' hain aarasta tiron se
har dil se ulajhne par mail hain teri aankhen
nazron mein teri aa kar aankhon mein sama jaun
rahen hain teri nazren manzil hain teri aankhen
duniya-e-tamanna ka napaid kinara hai
is bahr-e-farawan mein sahil hain teri aankhen
mano to KHata bhi hai be-parda tujhe dekha
warna to in aankhon mein shamil hain teri aankhen
ai dost in aankhon mein duniya bhi hai 'uqba bhi
achchha hai 'shifa' par bhi mail hain teri aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.