duniya tujhse chand bundon ki sawali kyon
duniyā tujh se chañd būñdoñ kī savālī kyoñ
bādal terī jholī itnī ḳhālī kyoñ
itnī phīkī itnī hai be-rang bahār
har Tahnī har Daalī ḳhālī ḳhālī kyoñ
ik din us kī chhātī par chaḌh baiThā maiñ
pūchhā kyoñ detā hai maañ kī gaalī kyoñ
jin kī lakīroñ par bhī haq nahīñ bantā kuchh
niiñd uḌā.eñ vo āñkheñ matvālī kyoñ
ishq meñ ik minnat kā dhāga bāñdhā thā
yādeñ chhoḌ ga.ī marqad kī jaalī kyoñ
apne chehre bhī haiñ ġhair nigāhoñ meñ
duniyā tū ne itnī dekhī-bhālī kyoñ
ek khanak sunñī thī chaa.e kī pyālī kī
tū ne ye nāzuk farmā.ish Taalī kyoñ
barf ke jaise saare sutūn the shīshe ke
ham ne un par apnī imārat Dhālī kyoñ
ik gūñgā sā rishta qaa.em kar baiThīñ
khiḌkī se do āñkheñ bholī-bhālī kyoñ
duniya tujh se chand bundon ki sawali kyon
baadal teri jholi itni KHali kyon
itni phiki itni hai be-rang bahaar
har Tahni har Dali KHali KHali kyon
ek din us ki chhati par chaDh baiTha main
puchha kyon deta hai man ki gali kyon
jin ki lakiron par bhi haq nahin banta kuchh
nind uDaen wo aankhen matwali kyon
ishq mein ek minnat ka dhaga bandha tha
yaaden chhoD gai marqad ki jali kyon
apne chehre bhi hain ghair nigahon mein
duniya tu ne itni dekhi-bhaali kyon
ek khanak sunni thi chae ki pyali ki
tu ne ye nazuk farmaish Tali kyon
barf ke jaise sare sutun the shishe ke
hum ne un par apni imarat Dhaali kyon
ek gunga sa rishta qaem kar baiThin
khiDki se do aankhen bholi-bhaali kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.