duniya ye sahi adu bahut hai
duniyā ye sahī adū bahut hai
mere liye ek tū bahut hai
ābādī-e-ham-zabāñ hai lekin
muhtājī-e-guftugū bahut hai
ik hāsil-e-justujū meñ shāyad
lā-hāsil-e-justujū bahut hai
āsāñ nahīñ saath umr bhar kā
andesha-e-man-va-tū bahut hai
aisā hai ki in dinoñ tumhārī
tasvīr se guftugū bahut hai
chhoḌegā vo le ke jaan ik din
ik dost hai so adū bahut hai
jal uThtī haiñ shaam hī se sham.eñ
āñkhoñ meñ mirī lahū bahut hai
duniyā nahīñ jāntī 'sanā' ko
rusvā sahī surḳh-rū bahut he
duniya ye sahi adu bahut hai
mere liye ek tu bahut hai
aabaadi-e-ham-zaban hai lekin
muhtaji-e-guftugu bahut hai
ek hasil-e-justuju mein shayad
la-hasil-e-justuju bahut hai
aasan nahin sath umr bhar ka
andesha-e-man-wa-tu bahut hai
aisa hai ki in dinon tumhaari
taswir se guftugu bahut hai
chhoDega wo le ke jaan ek din
ek dost hai so adu bahut hai
jal uThti hain sham hi se shamen
aankhon mein meri lahu bahut hai
duniya nahin jaanti 'sana' ko
ruswa sahi surKH-ru bahut he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.