duniya ye samajhti hai ki aankhon se nihan ho
duniya ye samajhti hai ki aankhon se nihan ho
Malika Afaq Zamani Begam
MORE BYMalika Afaq Zamani Begam
duniyā ye samajhtī hai ki āñkhoñ se nihāñ ho
dil merā ye kahtā hai qarīb-e-rag-e-jāñ ho
har daane kī hai nashv-o-numā ḳhaak meñ mil kar
vo qatra nahīñ rahtā jo dariyā meñ nihāñ ho
tum tālib-e-dīdār se ruḳh ko na chhupāo
dar-parda nigāhoñ meñ ho zāhir meñ nihāñ ho
mazlūmī kā manshā hai ye hasrat kā taqāza
bastī pe shahīdoñ kī bayābāñ kā gumāñ ho
phir josh-e-junūñ le chalā sahrā kī taraf ko
kyā jāniye ab sub.h kahāñ shaam kahāñ ho
haañ sabr nahīñ kahte to kyā kahte haiñ is ko
ḳhāmosh rahūñ aur mire muñh meñ zabāñ ho
mansūr kī mānind agar jaan ho qurbāñ
qissa ho mirā aur zamāne kī zabāñ ho
māyūsī kī tasvīr ho hasrat kā muraqqā
is tarah se mayyat kisī bekas kī ravāñ ho
dil meñ ho mire terā tasavvur dam-e-āḳhir
haañ naza.a meñ bhī naam tirā vird-e-zabāñ ho
dil baiThtā hai siine meñ yuuñ bahr-e-alam se
kashtī koī jis tarah tah-e-āb ravāñ ho
kahte haiñ mujhe dekh ke allāh re nafrat
vo kaun sā din ho jo ye miTTī meñ nihāñ ho
badnām kare ġhair to ḳhush hote haiñ 'āfāq'
barham hoñ vo mujh par jo ye kah duuñ mirī jaañ ho
duniya ye samajhti hai ki aankhon se nihan ho
dil mera ye kahta hai qarib-e-rag-e-jaan ho
har dane ki hai nashw-o-numa KHak mein mil kar
wo qatra nahin rahta jo dariya mein nihan ho
tum talib-e-didar se ruKH ko na chhupao
dar-parda nigahon mein ho zahir mein nihan ho
mazlumi ka mansha hai ye hasrat ka taqaza
basti pe shahidon ki bayaban ka guman ho
phir josh-e-junun le chala sahra ki taraf ko
kya jaaniye ab subh kahan sham kahan ho
han sabr nahin kahte to kya kahte hain is ko
KHamosh rahun aur mere munh mein zaban ho
mansur ki manind agar jaan ho qurban
qissa ho mera aur zamane ki zaban ho
mayusi ki taswir ho hasrat ka muraqqa
is tarah se mayyat kisi bekas ki rawan ho
dil mein ho mere tera tasawwur dam-e-aKHir
han naza mein bhi nam tera wird-e-zaban ho
dil baiThta hai sine mein yun bahr-e-alam se
kashti koi jis tarah tah-e-ab rawan ho
kahte hain mujhe dekh ke allah re nafrat
wo kaun sa din ho jo ye miTTi mein nihan ho
badnam kare ghair to KHush hote hain 'afaq'
barham hon wo mujh par jo ye kah dun meri jaan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.