dushman-e-jaan hai na ghaarat-gar-e-din hai koi
dushman-e-jāñ hai na ġhārat-gar-e-dīñ hai koī
phir bhī ārām se duniyā meñ nahīñ hai koī
barq ke saa.e meñ karte haiñ nasheman ta.amīr
ham sā dīvāna bhī duniyā meñ nahīñ hai koī
ham bhī āzād sahī aap bhī āzād sahī
nāsiya-sā.ī se āzād nahīñ hai koī
jo paḌe vo na saheñ to kareñ kis se fariyād
āsmāñ apnā hai yā apnī zamīñ hai koī
jaur-e-ayyām se bardashta-ḳhātir na huā
is yaqīñ par ki rag-e-jāñ se qarīñ hai koī
kaisā andher hai saaqī ye tirī mahfil meñ
kisī aa.iin kā pāband nahīñ hai koī
ab haram se koī nisbat na sanam-ḳhāne se
ham sā āzād bhī duniyā meñ kahīñ hai koī
koī to baat hai sāhil se jo uThThā tūfāñ
nā-ḳhudā kī to siyāsat ye nahīñ hai koī
be-vafā se mujhe ummīd-e-vafā hai 'tālib'
ḳhud-farebī hai ki ye husn-e-yaqīñ hai koī
ab kis ummīd pe ye āh-o-fuġhāñ ai 'tālib'
ab to be-dād pe maa.il bhī nahīñ hai koī
dushman-e-jaan hai na ghaarat-gar-e-din hai koi
phir bhi aaram se duniya mein nahin hai koi
barq ke sae mein karte hain nasheman tamir
hum sa diwana bhi duniya mein nahin hai koi
hum bhi aazad sahi aap bhi aazad sahi
nasiya-sai se aazad nahin hai koi
jo paDe wo na sahen to karen kis se fariyaad
aasman apna hai ya apni zamin hai koi
jaur-e-ayyam se bardashta-KHatir na hua
is yaqin par ki rag-e-jaan se qarin hai koi
kaisa andher hai saqi ye teri mahfil mein
kisi aain ka paband nahin hai koi
ab haram se koi nisbat na sanam-KHane se
hum sa aazad bhi duniya mein kahin hai koi
koi to baat hai sahil se jo uThTha tufan
na-KHuda ki to siyasat ye nahin hai koi
be-wafa se mujhe ummid-e-wafa hai 'talib'
KHud-farebi hai ki ye husn-e-yaqin hai koi
ab kis ummid pe ye aah-o-fughan ai 'talib'
ab to be-dad pe mail bhi nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.