Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dushman-e-jaan ke liye lafz-e-masiha nikla

Idris Azad

dushman-e-jaan ke liye lafz-e-masiha nikla

Idris Azad

MORE BYIdris Azad

    dushman-e-jāñ ke liye lafz-e-masīhā niklā

    sach mire muñh se to niklā magar aadhā niklā

    dahr meñ jis sharar aag se aage hai kahīñ

    kaisī miTTī hai ye jis se tirā banda niklā

    us ne jaate hue bas itnā kahā jaatā huuñ

    mere hoñToñ se faqat haule se achchhā niklā

    dekh to kaise chhalak kar tirī jānib lapkā

    tere hoñToñ to ye jaam bhī pyāsā niklā

    ik hasīñ ne mirī taqdīr badal Daalī hai

    maiñ jise chāñd samajhtā thā sitāra niklā

    ne dekhā nahīñ zulm kiyā hai mujh par

    dil se īmān-o-yaqīñ saare saarā niklā

    vo imārat girī thī jo mire siine meñ

    us buniyād se kahte haiñ dafīna niklā

    aisā kyā ne kiyā thā ki tirī mahfil se

    mar gayā mar gayā har shaḳhs ye kahtā niklā

    ishq pā.inda o raḳhshanda vafā zindabād

    aap ko dekh ke be-sāḳhta na.ara niklā

    dekh to rang bhī tasvīr se bichhḌe hue haiñ

    aur tujh se bhī to apnā yahī rishta niklā

    dushman-e-jaan ke liye lafz-e-masiha nikla

    sach mere munh se to nikla magar aadha nikla

    dahr mein jis ka sharar aag se aage hai kahin

    kaisi miTTi hai ye jis se tera banda nikla

    us ne jate hue bas itna kaha jata hun

    mere honTon se faqat haule se achchha nikla

    dekh to kaise chhalak kar teri jaanib lapka

    tere honTon ka to ye jam bhi pyasa nikla

    ek hasin ne meri taqdir badal Dali hai

    main jise chand samajhta tha sitara nikla

    tu ne dekha hi nahin zulm kiya hai mujh par

    dil se iman-o-yaqin sare ka sara nikla

    wo imarat si giri thi jo mere sine mein

    us ki buniyaad se kahte hain dafina nikla

    aisa kya tu ne kiya tha ki teri mahfil se

    mar gaya mar gaya har shaKHs ye kahta nikla

    ishq painda o raKHshanda wafa zindabaad

    aap ko dekh ke be-saKHta nara nikla

    dekh to rang bhi taswir se bichhDe hue hain

    aur tujh se bhi to apna yahi rishta nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now