dushman-e-jaan se dushmani bhi nahin
dushman-e-jāñ se dushmanī bhī nahīñ
jān-e-jānāñ se dostī bhī nahīñ
ye taġhāful hai ye tajāhul hai
sach to ye hai ki sādgī bhī nahīñ
kuchh añdherā hai kuchh ujālā hai
tīrgī hai ki tīrgī bhī nahīñ
ik lagāvaT sī un se hai lekin
aisī kuchh rasm-e-āshiqī bhī nahīñ
us kā insāniyat se kyā rishta
jo haqīqat meñ aadmī bhī nahīñ
tum se qaa.em hai shā.erī kā bharam
tum nahīñ ho to shā.erī bhī nahīñ
tere dāman meñ zindagī kī bahār
mere dāman meñ ik kalī bhī nahīñ
ham kahāñ jaa.eñ kaun hai apnā
saath jab apnī bekasī bhī nahīñ
rah ga.ī thī qalandarī 'hasrat'
āj-kal vo qalandarī bhī nahīñ
dushman-e-jaan se dushmani bhi nahin
jaan-e-jaanan se dosti bhi nahin
ye taghaful hai ye tajahul hai
sach to ye hai ki sadgi bhi nahin
kuchh andhera hai kuchh ujala hai
tirgi hai ki tirgi bhi nahin
ek lagawaT si un se hai lekin
aisi kuchh rasm-e-ashiqi bhi nahin
us ka insaniyat se kya rishta
jo haqiqat mein aadmi bhi nahin
tum se qaem hai shaeri ka bharam
tum nahin ho to shaeri bhi nahin
tere daman mein zindagi ki bahaar
mere daman mein ek kali bhi nahin
hum kahan jaen kaun hai apna
sath jab apni bekasi bhi nahin
rah gai thi qalandari 'hasrat'
aaj-kal wo qalandari bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.