dushman hai kaun aur mera yar kaun hai
dushman hai kaun aur mirā yaar kaun hai
khultā nahīñ ki barsar-e-paikār kaun hai
dariyā-e-āgahī meñ bhī mujh par nahīñ khulā
kis kī mujhe talāsh hai us paar kaun hai
dil kī hirā meñ aa ke ḳhud uqda-kushā.ī kar
tujh aisā aur sāhib-e-kirdār kaun hai
har ek apnī soch ke sahrā meñ hai ravāñ
masrūf-e-kār sab haiñ to bekār kaun hai
yuuñ chashm-e-iltifāt se kar mujh ko faizyāb
sab pūchhte phireñ ki ye 'iqrār' kaun hai
dushman hai kaun aur mera yar kaun hai
khulta nahin ki barsar-e-paikar kaun hai
dariya-e-agahi mein bhi mujh par nahin khula
kis ki mujhe talash hai us par kaun hai
dil ki hira mein aa ke KHud uqda-kushai kar
tujh aisa aur sahib-e-kirdar kaun hai
har ek apni soch ke sahra mein hai rawan
masruf-e-kar sab hain to bekar kaun hai
yun chashm-e-iltifat se kar mujh ko faizyab
sab puchhte phiren ki ye 'iqrar' kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.