dushman ke sath dost bhi shishon ke ghar mein tha
dushman ke saath dost bhī shīshoñ ke ghar meñ thā
lekin maiñ dasht-o-koh pe paiham safar meñ thā
yuuñ dekhne meñ duur se har shai thī dil-nashīñ
ik dard sā basā huā shām-o-sahar meñ thā
mahfil meñ apne aap se ham pūchhte rahe
kis kā lahū makān ke dīvār-o-dar meñ thā
ye sach hai tere aane se mausam badal gayā
varna baḌā jumūd sā ahl-e-nazar meñ thā
TuuTā huā thā vāqa.ī andar se aadmī
tāroñ ko toḌ laane kā saudā to sar meñ thā
'mas.ūd' raat kaaT ke sāġhar ke daur meñ
shaiḳhoñ ke saath saath vo allah ke ghar meñ thā
dushman ke sath dost bhi shishon ke ghar mein tha
lekin main dasht-o-koh pe paiham safar mein tha
yun dekhne mein dur se har shai thi dil-nashin
ek dard sa basa hua sham-o-sahar mein tha
mahfil mein apne aap se hum puchhte rahe
kis ka lahu makan ke diwar-o-dar mein tha
ye sach hai tere aane se mausam badal gaya
warna baDa jumud sa ahl-e-nazar mein tha
TuTa hua tha waqai andar se aadmi
taron ko toD lane ka sauda to sar mein tha
'masud' raat kaT ke saghar ke daur mein
shaiKHon ke sath sath wo allah ke ghar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.