dushman ke sath yar bhi bola sharab do
dushman ke saath yaar bhī bolā sharāb do
pīchhe paḌe haiñ saaqī ke ḳhāna-ḳharāb do
apne to chaar bosoñ kī qīmat bhī maañg lī
merā jo maal khāyā hai us kā javāb do
behad baḌhī haiñ saaqī kī bad-intizāmiyāñ
sau botaleñ sharāb kī haiñ aur kabāb do
dariyā-e-ishq kī unheñ maujeñ na toḌ deñ
ubhre haiñ bahr-e-husn meñ un ke habāb do
āshiq haiñ tere baap ke naukar nahīñ haiñ ham
kahnā na ham se phir mirī Tāñgeñ to daab do
in TeḌhī TeḌhī bātoñ ke qaa.il nahīñ haiñ ham
do to savāl-e-vasl kā sīdhā javāb do
ghar maiñ ne chhoḌā ġhair ne ghar vaalī chhoḌ dī
phirte haiñ tere ishq meñ ḳhāna-ḳharāb do
merī taraf ko ḳhālī piyāla karo atā
nutfa-harām ġhair ko bhar kar sharāb do
kahtā hai koī 'būm' mujhe aur koī chuġhad
ulfat meñ terī mujh ko mile haiñ ḳhitāb do
dushman ke sath yar bhi bola sharab do
pichhe paDe hain saqi ke KHana-KHarab do
apne to chaar boson ki qimat bhi mang li
mera jo mal khaya hai us ka jawab do
behad baDhi hain saqi ki bad-intizamiyan
sau botalen sharab ki hain aur kabab do
dariya-e-ishq ki unhen maujen na toD den
ubhre hain bahr-e-husn mein un ke habab do
aashiq hain tere bap ke naukar nahin hain hum
kahna na hum se phir meri Tangen to dab do
in TeDhi TeDhi baaton ke qail nahin hain hum
do to sawal-e-wasl ka sidha jawab do
ghar main ne chhoDa ghair ne ghar wali chhoD di
phirte hain tere ishq mein KHana-KHarab do
meri taraf ko KHali piyala karo ata
nutfa-haram ghair ko bhar kar sharab do
kahta hai koi 'bum' mujhe aur koi chughad
ulfat mein teri mujh ko mile hain KHitab do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.