dushman ki chaal dekhiye bekar rah gai
dushman kī chaal dekhiye bekār rah ga.ī
sar to chalā gayā mirī dastār rah ga.ī
thā ik makān bhaa.ī bhatījoñ ko de diyā
hisse meñ sirf apne ye dīvār rah ga.ī
tujh se bichhaḌ ke aur to sab kuchh milā magar
bas zindagī ḳhushī kī talabgār rah ga.ī
vo qaum kis tarah se bhalā jang-jū bane
jis kā nasīb koshish-e-yalġhār rah ga.ī
'tāriq' vo shaḳhs har dafa 'ujlat meñ hī milā
jo baat mujh ko kahnī thī har baar rah ga.ī
dushman ki chaal dekhiye bekar rah gai
sar to chala gaya meri dastar rah gai
tha ek makan bhai bhatijon ko de diya
hisse mein sirf apne ye diwar rah gai
tujh se bichhaD ke aur to sab kuchh mila magar
bas zindagi KHushi ki talabgar rah gai
wo qaum kis tarah se bhala jang-ju bane
jis ka nasib koshish-e-yalghaar rah gai
'tariq' wo shaKHs har dafa 'ujlat mein hi mila
jo baat mujh ko kahni thi har bar rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.