dushman ki dushmani ka safar kar raha hun main
dushman kī dushmanī kā safar kar rahā huuñ maiñ
ik umr āgahī kā safar kar rahā huuñ maiñ
phūloñ ko chhoḌ kar huuñ maiñ kāñToñ pe aa gayā
yuuñ dil kī bandagī kā safar kar rahā huuñ maiñ
niklā huuñ apne dil ke parinde ko DhūñDne
ya.anī ki zindagī kā safar kar rahā huuñ maiñ
dariyā se ruḳh badal ke yuuñ lab-soḳhta kahīñ
jangal meñ tishnagī kā safar kar rahā huuñ maiñ
har pal lahū kī aañch pe kāġhaz ko gholnā
yuuñ dasht-e-shā.erī kā safar kar rahā huuñ maiñ
ḳhud jī rahā huuñ jaane maiñ kitne ġhamoñ ke saath
bas ik tirī ḳhushī kā safar kar rahā huuñ maiñ
ik dil ne mere dil ko hai luuTā jahān se
ik dil kī dilbarī kā safar kar rahā huuñ maiñ
din garmī-e-jahān kī ḳhātir ḳhafā rahā
rātoñ ko raushnī kā safar kar rahā huuñ maiñ
dushman ki dushmani ka safar kar raha hun main
ek umr aagahi ka safar kar raha hun main
phulon ko chhoD kar hun main kanTon pe aa gaya
yun dil ki bandagi ka safar kar raha hun main
nikla hun apne dil ke parinde ko DhunDne
yani ki zindagi ka safar kar raha hun main
dariya se ruKH badal ke yun lab-soKHta kahin
jangal mein tishnagi ka safar kar raha hun main
har pal lahu ki aanch pe kaghaz ko gholna
yun dasht-e-shaeri ka safar kar raha hun main
KHud ji raha hun jaane main kitne ghamon ke sath
bas ek teri KHushi ka safar kar raha hun main
ek dil ne mere dil ko hai luTa jahan se
ek dil ki dilbari ka safar kar raha hun main
din garmi-e-jahan ki KHatir KHafa raha
raaton ko raushni ka safar kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.