dushman ki taraf jaane kyon is bar khaDi hai
dushman ki taraf jaane kyon is bar khaDi hai
Shahzan Khan Shahzan
MORE BYShahzan Khan Shahzan
dushman kī taraf jaane kyoñ is baar khaḌī hai
duniyā jo hamesha se mire saath rahī hai
mumkin hai ki is baar tujhe apnā banā luuñ
hālāñki mohabbat to ka.ī baar huī hai
maiñ jā bhī nahīñ saktā tujhe chhoḌ ke lekin
ik baat magar dil pe mire ḳhuub lagī hai
chup-chāp khaḌā us ko faqat dekh rahā huuñ
dīvār pe bachpan kī jo tasvīr Tañgī hai
kuchh bol mirī jaan ki dil ko ho tasallī
kyā ġham hai tujhe kis liye chup-chāp khaḌī hai
qadmoñ ke nishāñ jab se tire is meñ paḌe haiñ
tab jā ke mire shahr meñ barsāt huī hai
ik terī mohabbat kī nishānī ke 'alāva
kamre meñ paḌī ab ke har ik chiiz na.ī hai
dushman ki taraf jaane kyon is bar khaDi hai
duniya jo hamesha se mere sath rahi hai
mumkin hai ki is bar tujhe apna bana lun
haalanki mohabbat to kai bar hui hai
main ja bhi nahin sakta tujhe chhoD ke lekin
ek baat magar dil pe mere KHub lagi hai
chup-chap khaDa us ko faqat dekh raha hun
diwar pe bachpan ki jo taswir Tangi hai
kuchh bol meri jaan ki dil ko ho tasalli
kya gham hai tujhe kis liye chup-chap khaDi hai
qadmon ke nishan jab se tere is mein paDe hain
tab ja ke mere shahr mein barsat hui hai
ek teri mohabbat ki nishani ke 'alawa
kamre mein paDi ab ke har ek chiz nai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.