dushman ko le ke sath sitamgar idhar baDha
dushman ko le ke sath sitamgar idhar baDha
Sayad Humayun Mirza Haqeer
MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer
dushman ko le ke saath sitamgar idhar baḌhā
kuch dard-e-sar ghaTā thā ki dard-e-jigar baḌhā
ḳhālī na aa.e yaar kī mahfil se ham kabhī
rashk-e-adū se aur bhī zaḳhm-e-jigar baḌhā
tanhā.ī par mirī na zarā bhī kiyā ḳhayāl
dil pahle nazr le liyā tab nāma-bar baḌhā
mahrūm rah na jaa.eñ ki mahfil aḳhīr hai
saaqī bhalā ho ab bhī koī jaam idhar baḌhā
mere sabab se qātil-e-ālam milā ḳhitāb
jab maiñ miTā to aap kā ye karr-o-far baḌhā
jab mar ga.e to qabr pe vo fātiha ko aa.e
kab mere nāla-hā-e-darūñ kā asar baḌhā
armān-e-vasl karte haiñ dekhūñ kahāñ qiyām
dil kī taraf bhī yaar kā tīr-e-nazar baḌhā
ranj-o-malāl-e-hijr se ghabrā na ai 'haqīr'
haañ jis qadar baḌhe abhī zād-e-safar baḌhā
dushman ko le ke sath sitamgar idhar baDha
kuch dard-e-sar ghaTa tha ki dard-e-jigar baDha
KHali na aae yar ki mahfil se hum kabhi
rashk-e-adu se aur bhi zaKHm-e-jigar baDha
tanhai par meri na zara bhi kiya KHayal
dil pahle nazr le liya tab nama-bar baDha
mahrum rah na jaen ki mahfil aKHir hai
saqi bhala ho ab bhi koi jam idhar baDha
mere sabab se qatil-e-alam mila KHitab
jab main miTa to aap ka ye karr-o-far baDha
jab mar gae to qabr pe wo fatiha ko aae
kab mere nala-ha-e-darun ka asar baDha
arman-e-wasl karte hain dekhun kahan qiyam
dil ki taraf bhi yar ka tir-e-nazar baDha
ranj-o-malal-e-hijr se ghabra na ai 'haqir'
han jis qadar baDhe abhi zad-e-safar baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.