dushman mere pichhe hai to dariya mere aage
dushman mire pīchhe hai to dariyā mire aage
ab koī bachā hī nahīñ rasta mire aage
tauhīn na kar tū mirī ġhurbat kī sar-e-ām
mat pheñk hiqārat se ye sikka mire aage
maiñ sach kā taraf-dār thā vo jhuuT kā haamī
tā-der bhalā kaise Thahartā mire aage
ghere haiñ abhī mujh ko zamāne ke masā.il
mat chheḌ abhī ishq kā qissa mire aage
ehsān kiyā jis pe usī ne mujhe luuTā
lo aa gayā nekī kā natīja mire aage
ai vaqt ke munsif ye tujhe zeb nahīñ hai
mat paḌh kisī zālim kā qasīda mire aage
duniyā-e-mohabbat kā maiñ darvesh huuñ yaaro
ik roz jhukegā ye zamāna mire aage
taslīm karūñ kaise bhalā us kī baḌā.ī
'tābish' to huā hai abhī paidā mire aage
dushman mere pichhe hai to dariya mere aage
ab koi bacha hi nahin rasta mere aage
tauhin na kar tu meri ghurbat ki sar-e-am
mat phenk hiqarat se ye sikka mere aage
main sach ka taraf-dar tha wo jhuT ka hami
ta-der bhala kaise Thaharta mere aage
ghere hain abhi mujh ko zamane ke masail
mat chheD abhi ishq ka qissa mere aage
ehsan kiya jis pe usi ne mujhe luTa
lo aa gaya neki ka natija mere aage
ai waqt ke munsif ye tujhe zeb nahin hai
mat paDh kisi zalim ka qasida mere aage
duniya-e-mohabbat ka main darwesh hun yaro
ek roz jhukega ye zamana mere aage
taslim karun kaise bhala us ki baDai
'tabish' to hua hai abhi paida mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.