dushmani chalti rahi yaron ke bich
dushmanī chaltī rahī yāroñ ke biich
phuul bhī khilte rahe ḳhāroñ ke biich
ho agar īmān-e-kāmil aaj bhī
raqs ho saktā hai angāroñ ke biich
dostī kī chhat banānā chāhiye
ham ko bhī rahnā hai dīvāroñ ke biich
aap ko to chāñd kahte the sabhī
aap kyoñ dhuñdlā ga.e tāroñ ke biich
ḳhud-farebī ne sahārā de diyā
mil gayā iqrār inkāroñ ke biich
ḳhuub hai 'muztar' kā rang-e-shā.irī
ḳhuuñ kī surḳhī hai ġhazal-pāroñ ke biich
dushmani chalti rahi yaron ke bich
phul bhi khilte rahe KHaron ke bich
ho agar iman-e-kaamil aaj bhi
raqs ho sakta hai angaron ke bich
dosti ki chhat banana chahiye
hum ko bhi rahna hai diwaron ke bich
aap ko to chand kahte the sabhi
aap kyon dhundla gae taron ke bich
KHud-farebi ne sahaara de diya
mil gaya iqrar inkaron ke bich
KHub hai 'muztar' ka rang-e-shairi
KHun ki surKHi hai ghazal-paron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.