dushmani hai use mujhse to nibhane aae
dushmanī hai use mujh se to nibhāne aa.e
phuul dene na sahī zaḳhm lagāne aa.e
apnī galiyoñ meñ hameñ apnā makāñ mil na sakā
aaj ham lauT ke jab apne Thikāne aa.e
dāvedāroñ se use thī bahut ummīd magar
qarya-e-ġham meñ hameñ ḳhaak uḌāne aa.e
aish ke rang kisī ko bhī mile hoñ lekin
mere hisse meñ to ḳhushiyoñ ke fasāne aa.e
ham ne dil khol ke haq baat kahī jab bhī kahī
uzr aaya na siyāsat ke bahāne aa.e
ek be-nām udāsī hai dil-o-jāñ pe muhīt
aisā lagtā hai ki phir ġham ke zamāne aa.e
ḳhauf-e-jāñ chhoḌ diyā us se ye kah diije 'niyāz'
apnī tahzīb-o-zabāñ jo bhī miTāne aa.e
dushmani hai use mujh se to nibhane aae
phul dene na sahi zaKHm lagane aae
apni galiyon mein hamein apna makan mil na saka
aaj hum lauT ke jab apne Thikane aae
dawedaron se use thi bahut ummid magar
qarya-e-gham mein hamein KHak uDane aae
aish ke rang kisi ko bhi mile hon lekin
mere hisse mein to KHushiyon ke fasane aae
hum ne dil khol ke haq baat kahi jab bhi kahi
uzr aaya na siyasat ke bahane aae
ek be-nam udasi hai dil-o-jaan pe muhit
aisa lagta hai ki phir gham ke zamane aae
KHauf-e-jaan chhoD diya us se ye kah dije 'niyaz'
apni tahzib-o-zaban jo bhi miTane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.