dushmani ho magar KHush-kalami rahe
dushmanī ho magar ḳhush-kalāmī rahe
zikr-e-ḳhayyām ho fikr-e-jāmī rahe
gulsitāñ kī fazā ham ko achchhī lagī
ḳhushbuoñ ke sadā ham payāmī rahe
ādamiyyat kā hargiz taqāza nahīñ
tere kirdār meñ koī ḳhāmī rahe
tere mai-ḳhāne kā kaisā dastūr hai
jaam ho haath meñ tishna-kāmī rahe
zehn-o-dil par haiñ pahre lage aaj bhī
kab talak ai ḳhudā ye ġhulāmī rahe
jo sa.ūbat ke ḳhadshāt se Dar ga.e
rāh-e-ulfat meñ vo sust-gāmī rahe
har taraf pyaar ke phuul khilte raheñ
lai hijāzī mirī naġhma shāmī rahe
dushmani ho magar KHush-kalami rahe
zikr-e-KHayyam ho fikr-e-jami rahe
gulsitan ki faza hum ko achchhi lagi
KHushbuon ke sada hum payami rahe
aadamiyyat ka hargiz taqaza nahin
tere kirdar mein koi KHami rahe
tere mai-KHane ka kaisa dastur hai
jam ho hath mein tishna-kaami rahe
zehn-o-dil par hain pahre lage aaj bhi
kab talak ai KHuda ye ghulami rahe
jo saubat ke KHadshat se Dar gae
rah-e-ulfat mein wo sust-gami rahe
har taraf pyar ke phul khilte rahen
lai hijazi meri naghma shami rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.