dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye
dushmanī kī is havā ko tez honā chāhiye
us kī kashtī ko sar-e-sāhil Dubonā chāhiye
chhīn kar saarī ummīdeñ mujh se vo kahtā hai ab
kisht-e-dil meñ aarzū kā biij bonā chāhiye
is samundar kī kasāfat aañkh meñ chubhne lagī
us kā chehra aur hī paanī se dhonā chāhiye
sauñp jaa.eñ in daraḳhtoñ ko nishānī naam kī
ham kabhī the aglī rut ko ilm honā chāhiye
ye bhī koī tuk huī ki kuchh huā to ro paḌe
shaḳhsiyat kā rañg 'fikrī' yuuñ na khonā chāhiye
dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye
us ki kashti ko sar-e-sahil Dubona chahiye
chhin kar sari ummiden mujh se wo kahta hai ab
kisht-e-dil mein aarzu ka bij bona chahiye
is samundar ki kasafat aankh mein chubhne lagi
us ka chehra aur hi pani se dhona chahiye
saunp jaen in daraKHton ko nishani nam ki
hum kabhi the agli rut ko ilm hona chahiye
ye bhi koi tuk hui ki kuchh hua to ro paDe
shaKHsiyat ka rang 'fikri' yun na khona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.