dushmani wo lae hain dosti ke daman mein
dushmanī vo laa.e haiñ dostī ke dāman meñ
tīrgī hai poshīda raushnī ke dāman meñ
adl ke liye mulzim kab se raah taktā hai
kaun sī hai majbūrī munsifī ke dāman meñ
go ki vo masīhā hai par ye dard mere haiñ
kaise saare dukh rakh duuñ ajnabī ke dāman meñ
yuuñ libās-e-bosīda māl-o-zar se ḳhālī hai
be-karāñ mohabbat hai muflisī ke dāman meñ
ham anā-parastī meñ un ko bhī na kho baiTheñ
ḳhushnumā se jo pal haiñ ham sabhī ke dāman meñ
ik qalam kī tāqat par ham ye jañg jīteñge
hausloñ kī vus.at hai zindagī ke dāman meñ
fikr ke nagīnoñ ko lafz ne tarāshā hai
ai 'shifā' ye hiire haiñ shā.erī ke dāman meñ
dushmani wo lae hain dosti ke daman mein
tirgi hai poshida raushni ke daman mein
adl ke liye mulzim kab se rah takta hai
kaun si hai majburi munsifi ke daman mein
go ki wo masiha hai par ye dard mere hain
kaise sare dukh rakh dun ajnabi ke daman mein
yun libas-e-bosida mal-o-zar se KHali hai
be-karan mohabbat hai muflisi ke daman mein
hum ana-parasti mein un ko bhi na kho baiThen
KHushnuma se jo pal hain hum sabhi ke daman mein
ek qalam ki taqat par hum ye jang jitenge
hauslon ki wusat hai zindagi ke daman mein
fikr ke naginon ko lafz ne tarasha hai
ai 'shifa' ye hire hain shaeri ke daman mein
- Book : Khat-e-abyaz (Pg. 38)
- Author : Shifa Kajganvi
- Publication : Shivna Prakashan (M.P.)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.